Monday, October 31, 2005

mannat

farsh par mannat karte hue
duaon mein maangle tumhe...
raat ko karle palkon mein shamil...
taare bharde tumhari aankhon mein..

zindagi mein ghulti hui kismat
tumhe saath le aayi...
parchhaiyon mein, saayon mein kahin
dhoond kar le aayi...
tum aur tumhare saath
fursat ke do pal le aayi....
ifazat se rakhte hai zevar ki tarah inhe,
yeh pal chalte hai meri saason mein

har aahat, har dastak
ek ishara kar jaati hai...
intazaar ki yeh ghadiyaan
apne saath le aati hai
palkon ko barasne ka
bahana le aati hai..
yeh katre aankhon ke,moti ban jaate hai
chamakte hai yeh meri aankhon mein..

farsh par mannat.....
barakhaa